Qabaz Kun Hoti ha
Anton say waqat par Fuzla Kharij no hona ya kam hona Qabaz Kehlata ha.
Asbab:
Qabaz ky Mukhtlif Asbab hain. Maslan Bukharo ka Ana, Der Hazam awr Kaseef Ghazaon ka
Istamal, Mahool aur Abo Hawa ki tabdeeli, Dawao ka istamal Maslan Dard Roknay wali awr Neend Lany
wali, Peshab Lanay wali, Dasat awar, Tezabiat door karnay wali, Calcium awr Folad ky Murakbat Waghaira
kay istamal aur sab say bari wajha Pani Kam penay sy Qabaz Honay kay bohat zyada Imkan hotay hain.
Qabaz ki wajha say lagnay wali dosri bemarian.
Bawaseer, Jigar ki kamzoori, Purani Pechash, Khoon ki Kami, Anton ka waram,
Rasooli. Waqat par Hajat kay leay na jany ki wajha say ye sab masail ban jatay hain.
Ilaj:
Qabaz ka Ilaj Dawaon say kam balkay Mukhtilaf Tadabeer say kanra chaheay Maslan Kachi
Sabzeon ka zyada istmal ar Kafi Miqdar me pani peena chaheay Halki Phulki Warzish karni chahey.
0 comments:
Post a Comment